Vo rulakar ha.Ns na paayaa der tak Jab main rokar muskuraayaa der tak
Bhuulanaa chaahaa agar us ko kabhii Aur bhii vo yaad aayaa der tak
Gun_gunaataa jaa rahaa thaa ik faqiir dhuup rahatii hai naa saayaa der tak